Back to all issues
MYNS-12PendingDrainage & SewageWard 135

Dhapa aur naale ko repairing karna

Faiz KhanFaiz Khan
about 1 month ago
Share:

AAWAZ HAMARI Mankhurd, Mumbai Date: 7 February 2026 To, The Assistant Commissioner, M-East Ward, BMC Office, Govandi, Mumbai – 400043. CC / Prati: Shri Navnath Nagar Sevak, M-East Ward, Mankhurd, Mumbai. Subject: Area mein khule (bhade) naale ko cover karvane ke sambandh mein nivedan. Respected Sir/Madam, Hum ‘Aawaz Hamari’ sanstha ke madhyam se aapka dhyaan Mankhurd, Mandala kshetra ki ek gambhir samasya ki ore aakarshit karna chahte hain. Hamare ilake Mandala 30 Feet Road, Gali No. 3 aur uske aas-paas ke kshetron mein drainage cover ka repair to kiya gaya hai, lekin naala abhi bhi khula (bhada naala) hai. Is wajah se ilake mein gandi badboo, machharon ka prakop aur durghatna ka khatra bana rehta hai. Khula naala hone ke karan bacchon, buzurgon aur rahgiron ke girne ka hamesha dar bana rehta hai. Saath hi, jama ganda paani jan-swasthya ke liye bhi gambhir khatra paida kar raha hai. Hamari maang hai ki: • Mandala 30 Feet Road aur Gali No. 3 ke khule naale ko poori tarah se cover kiya jaye. • Naale ki regular safai aur maintenance ki vyavastha ki jaye. Aapse vinamra nivedan hai ki jan-hit aur jan-swasthya ko dhyan mein rakhte hue is samasya par jald se jald karyawahi ki jaye. Humein poora vishwas hai ki aap log is par turant dhyaan denge. Dhanyawad. Aapka Vishwasu, 8779495193 Team Aawaz Hamari Address: Mandala 30 Feet Road, Gali No. 3, Mankhurd, Mumbai, Maharashtra – 400043.

Issue
Sultan chawal mandala near ganesh mandir

Comments (0)

No comments yet. Be the first to comment!

Please sign in to leave a comment.